(Ek pal ka jeena, phir to hai jaana
Tofa kya leke jaaye, dil yeh bataana) - 2
Khaali haath aaye the hum
Khaali haath jaayenge
Bas pyaar ke do meethe bol jhilmilaayenge
To hans kyoon ki duniya ko hai hasaana
(Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa) - 2
Oh, aankhon mein dilbar ka sapna bhi hai
Haan koi sapna bhi hai
Oh, duniya mein mera koi apna bhi hai
Haan koi apna bhi hai
Ek chehraa khaas hai, jo dil ke paas hai
Honton pe pyaas hai, milne ki aas hai
Dilbaron ka magar kahan koi thikaana
(Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa) - 2
Oh, jeevan khushiyon ka ek jhonka sa hai
Haan koi jhonka sa hai
Oh, aur yeh jhonka ek dhoka sa hai
Yeh kaisi hai khushi, jal jalke jo bujhi
Bujh bujhke jo jali, milke bhi naa mili
Doston par kisi haal mein naa ghabaraana
(Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa) - 2
Ek pal ka jeena, phir to hai jaana
Tofa kya leke jaaye, dil yeh bataana
Khaali haath aaye the hum
Khaali haath jaayenge
Bas pyaar ke do meethe bol jhilmilaayenge
To hans kyoon ki duniya ko hai hasaana
(Ae mere dil tu gaaye jaa
Ae aaye aao aaye aa) - 2.